haN yeh to bahot sunne ko miltaa hai k “chaliye, aap[ke liye Rs. 2 kam kar duuNgaa”///yeh mehrbaanii duukaandaar kii chaalaakii hotii hai “Khushaamdii culture, you know!”
maiN ne ek nayaa tareeqa nikaalaa hai India meN shopping kaa…Hindu dukaandaar bahot superstitious hote haiN lihaazaa agar aap ikdam savere savere jaayeN [jab duukaan khul rahii hotii hai aur duukaandaar poojaa paaT meN lagaa hotaa hai] … us waqt vo sab se ziyaada iimaandaar hotaa hai [you have a win dow of about 10 minutes
]
ek aur cheez, Hindu duukaandaar ek aur cheez men yaqeen rakhtaa hai aur vo hai “BOHNI” karnaa [first sale of the day]…the ideology is to please the first customer aur use Khaali haath nahiiN lauTaate…ab bargaining meN agar duukaandaar ko Rs.1 rupaye kaa bhii faida ho rahaa hai to vo us cheez ko bech degaa yeh kah kar k “ab aap se BOHNI kar rahaa huN is liye Khareed pe hii bech rahaa huN…bhagwaan kasam ek paise kaa bhii faida nahiiN huaa hai” 
chalo jii, apnaa kaam nikal gayaa! 