jee nahin janaab. Hazrat Hafiz e Shirazi Chishti ne tau yeh baat keh kar apni jaan bachaaee thi!
Waqia kuchh yoon huwa tha ke Chingiz Khan (ya Timur) ne Hafiz ko pakar liya tha aur usse poocha tha kay tumhaara paas kitnay paisay hain? Hafiz ne farmaaya kay main tau muflis hoon mere paas kuchh nahin bachaa. Phir Timur nay yeh mandarja baala shair sunaaya aur kaha kay jo aadmi aik til kay badlay main samarkand o bukhara shehron kay tumaam khazaanay loTaa sakay woh kyonkar gharib ho sakta hai? Hafiz nay fawran haazir dimaaghi se kaha kay aisee firaakh dilli ki wajjah se hii tau main aaj gharib hoon! Timur ko yeh jawaab bahut pasand aaya aur usne Hafiz kii jaan bakhsh dee aur usse inaam main kuchh ashrafiyaan bhi inaayat keen
It is this way. Hafiz was called in to eulogise victory of samarkand and bukhara. He made above verse and was ordered to gallows by Timur. Hafiz’s friends went to Timur and beg his forgiveness. Timur agreed to forgive him if Hafiz apologises and takes back his words as he had lots of blood to conquer these two cities. Hafiz said yes but when he was presented before Timur, he instead apologised for altaring just two cities to his beloved. He said he would altar all the world. Timur ne kaha “Pagal hai chor do isay”
this is a kickass sh’er Asif lekin tum her kisi ko forun vilayut ki kursi per bitha dete ho bava…yeh Hafiz sahib bada’khawari mein chachay ghalib ko bi maat kerte hein…baqaul khud un ke…
koi yeh rind e kharabaat per gumaaN na kare
salah o taqwa zara banda e mughaaN na kare
hei soofiyoon ki qaba mein ne iss liay pehni
ke meh chhupaooN jo iss mein, koi gumaaN na kare