Main zindagi kay tamam sagar
aur tamam motyan
sipyoon kay khayal sahil pe kho choki hoon
aur samjh choki hoon kay
jo mere kam nasibyan hain wo
mere mata-e-hayat ban ker
sada mere humsafar rahain gi
agar main in ko shor-e-jaan kay
hazarhan wastay bhi doon tou tab bhi wo meray
hatoon ki sab lakiroon main
zahan ban ker hayat ban ker
mere sab hi khohishat ban ker
kuch aisay dhab se ayan na ho jain
jo main nay dhoondlaya howa chahra
nafees-e-ghza ki chandni main
zamanay bhar se chopaya howa hai
andhari ratoon ki targi main
taaz nazroon se chop na paie
main zindagi kay tamam sagar
aur tamam motyan
sipyoon kay khayal sahil pe
kho choki hoon
sipyana
khowab aur haqeeqat main
aik talook banay rakhain
in udas se ankhoon main
chamak aur muskrahat kay
kuch diyay jagmagay rakhain
haan !
kuch diyay hi tou…
mehwish afsar