Silsiley tor gaya woh sabhi jaatey jaatey,
Warna itney to marasim they ki aatey jaatey.
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha,
Apney hissey ki koi shamaa jalatey jaatey.
Kitna aasa’ tha tere hijr me marna jaana’
Phir bhi ik umr lagi jaan se jaatey jaatey.
Jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi,
Paa bajola’ hi sahi naachtey gaatey jaatey.
Uski woh jaaney use paase-wafa tha ki na tha,
Tum Faraz apni taraf se to nibhatey jaatey.
Isi ghazal ki talash thi aapko shayad,… koi typing
ya spelling mistake ho to maafi chahoongi.
Re: Silsiley tor gaya woh sabhi…
bhut khoob:k:
Bahut hi umdah kalaam !
Thanks for sharing ...!
Yaqeen hay ke na aaye ga mujh se milnay koi
Tu phir ye dil ko meray intazar kasa hay !!!
system
8
wooowww, niceeeeeeeeee :k: