Silsilay..faraz

Very nice....

Im doing the translation incase, if someone is unable to read the same as posted in Urdu !!!

**
Silsilay tor gaya woh sabhi jaatay jaatay
Warna itne tu maraasim thay ke aatay jaatay
Shikwa zulmat-e-shab se tu kaheen behtar thaa
Apne hissay ki koi shamma jalaatay jalaatay
Kitna aasaan thaa tere hijar mein marna janaan
Phir bhi ek umer lagi jaan se jaatay jaatay
Jashne maqtal hi na barpa huwa warna hum bhi
Paabajola hi sahi naachtay gaatay jaatay
Us ki woh jaanay ussay paas-e-wafa thaa ke nahee
Tum 'Faraz' apni taraf se tu nibhaatay jaatay
**

Xcellent and thanks for sharing :)

Phir bhi aik umar lagi jaan say jatay jatay

thanks for sharing

:k: