silselay torh gaya woh sabi jatay jatay
werna itnay to marasem thay k aatay jatay
shikewah-e-zulmet-e-shab say to kahien behter tha
apnay hisay ki koie shama jalatay jatay
kitna asan tha teray hijer main merna janan
phir bhi ek umer lagi jaan say jatay jatay
us ki woh janay k usay pas-e-wafa tha,na tha
tum Faraz apni teref say to nibhatay jatay
By : Ahmad Faraz