Eik company mein umeed-waaron ka tehreeri imtihaan hona tha. Firm kay afsar nay dekha kay sarey umeed-waar baree baree sifarashein laaye hain. Jitni asamian khaali thee utnay hee umeed-waar hain. Afsar nay barey soch bichaar kay baad eik parcha tayyar kiya taakey sifarshi log usey puR kar kay muntakhib hojaayein. Parchay per darjay-zail sawaal darj thay:
-
Chaandi ka dollar kiss dhaat sey tayyar hota hai?
-
Nau bajay ki khabrein kiss waqat aati hain?
-
London mein laal rang ki bason ka color kaunsa hai?
-
Paris kay Eiffel Tower ko kiya kehtay hain?