Sidique- Allama Iqbal (Rh)

Ik Din Rasool-e-Pak nay Ashaab say Kaha **
** Dain Maal rah-e-Haq mein jo hon Tum main maal daar

** Irshaad sunn kay, firt-e-tarab say Umer (Rz) Uthay**
** Is roz un kay paas thhay darham kayi hazaar**
** Dil main yeh Keh rahay thhay keh Sidique say Zuroor**
** Bardh kar rakhay ga Aaj qaddam mairra Rahwar**
** Laye gharz keh Maal-e-Rasool-e-Ameen kay paas**
** Eisaar ki hay dust-e-naggar ibtadaye kaar**
** Poochha Huzoor Survar-e-Aalam nay,“Aay Umer!**
** Aay woh keh Josh-e-Haq say taray Dil ko hai Qarrar**
** Rakhaa hai kuchh Ayiyaal ki Khatir bhi too nay keya?**
** Muslim hai apnay Khawaish-o-Aqarib ka Haq guzzaar”**
** Ki Arz," Nisf maal hai farzand-o-zunn ka Haq**
** Baqi jo hai woh milat-e-bayza pay nisaar"**

** Itnay main Woh Rafeeq-e-Naboowat bhi aa geya**
** Jis say binaye Ishq-o-Mohabbat hai ustawar**
** Lay aya apnay sath woh mard-e-wafa sarrisht**
** Har Cheez, jis say chasham-e-jahaan mai ho aetabar**
** Milk-e-yameen-o-Darham, dinar-o-rakht-o-jins**
** Isp-e-qamar sum-o-shuttar-o-Qatir-Himaar**
** Bolay Huzoor," Chahiye fikar-e-Ayaal bhi"**
** Kehnay laga woh ishq-o-mohabbat ka raaz daar**
** “Aay tujh say deedah-e-mah-anjum faroogh geer**
** Aay tayri Zaat ba’ise taqween-e-Rozgaar**
** Parwaanay ko charaagh hai bulbul ko phool bus**
** Sidique kay liye hai Khuda ka Rasool bus”**

** Allama Mohammad Iqbal (Rh)**

Re: Sidique- Allama Iqbal (Rh)

:flower1:

Re: Sidique- Allama Iqbal (Rh)

:k:

Re: Sidique- Allama Iqbal (Rh)

Which book it is from.......

Re: Sidique- Allama Iqbal (Rh)

[quote]
Which book it is from.......
[/quote]

Baang-e-Darra. Title= Sidique. Page no. 199.

Re: Sidique- Allama Iqbal (Rh)

jaza’ak ALLAH :flower1:

Re: Sidique- Allama Iqbal (Rh)

Thanks...................!

Re: Sidique- Allama Iqbal (Rh)

In the edition of Baang-e-Dara that I have, it is on page170 and 171…

Beautiful poem indeed…