Si ke lab ek qayamat si utha di jae

Si ke lab ek qayamat si utha di jae
Reh ke khamosh zara dhoom macha di jae

Jisko dekho wohi sehra main chala aata hai
Raaste main koi deevar utha di jae

Ab to sayyad ko bhi koi saza di jae
iss qafas main hi zara aag laga di jae

Dil main kab tak rahe umeed ka veeraan mehal
Ab to yeh gehan imaarat bhi gira di jae

Re: Si ke lab ek qayamat si utha di jae

Dil main kab tak rahe umeed ka veeraan mehal
Ab to yeh gehan imaarat bhi gira di jae

:k:

Re: Si ke lab ek qayamat si utha di jae

Aap k ye Saary Kaam…R.Malik kr sakta hy…:hehe:

Re: Si ke lab ek qayamat si utha di jae

R Malik ya S Malik

Re: Si ke lab ek qayamat si utha di jae

ya v malik

Re: Si ke lab ek qayamat si utha di jae

malikun ki bari demand hy