niyal
August 22, 2006, 5:27pm
1
AOA
aaj shab-e-miraj hey Pakistan main …
yani aaj ki raat Hazrat Muhammad :saw: asmanoon per Allah say mulaqat kernay gye thay …
aap logoon kay area main kub hay …
Ummed hey aap sub allah say girgira kay apnay gunahoon ki maafiyaan mangaay gaye
Allah hum sub ko naik kaam kernay ki taufeeq day (aamen)
Re: Shub_e_Miraj
ohh it was yesterday here in dubai
Re: Shub_e_Miraj
Allah hum subko Sahi Raste or naik kaam karne ka Taufeeq dain, is din kay vastay... Ameen.
Re: Shub_e_Miraj
haan aur mai Allah se shoaib ke liyee dil se dua kerti hoon ke Allah shoaib ko naiki ki hidiyat de aur isse her lerki ko behan se dekhney waali nazer atta karey Aameen :p
Re: Shub_e_Miraj
oh yaawwrrr… yeh dua qubool nahin honay wali..
Dil Say Dua karoo gee to puri ho gee
Re: Shub_e_Miraj
to maine kaha na aap sab lerko ke liyee kerni chaiyee DIL se :D