**Likh Diya Apne Dar Pe Kisi Ne, Is Jagah Pyar Karna Mana Hai
Pyar Agar Ho Bhi Jaye Kisi Ko, Iska Izhar Karna Mana Hai
Unki Mahfil Mein Jab Koi Jaaye, Pehle Nazrein Woh Apni Jhukaye
Wo Sanam Jo Khuda Ban Gaye Hein, Unka Deedaar Karna Manaa Hai
Jaag Uthein Gay To Aahein Bharein Gay, Husn Walon Ko Ruswaa Karein Gay
So Gaye Hain Jo Furqat Ke Maare, Unko Bedaar Karna Manaa Hai
Hum Nai Ki Arz Ay Banda Parwar, Kiyon Sitam Dhal Rahay Ho Yeh Hum Per
Baat Sun Kar Hamari Woh Bole, Hum Say Taqraar Karna Mana Hai
Saamnay Jo Khula Hai Jharoka, Kha Na Jana Qateel Kahin Unka Dhoka
Ub Bhi Apnay Liyeh Us Gali Mein, Shouq-e-Deedaar Karna Mana Hai
**