hey what do i see here…my fav shor sharaba is like totally empty …moderator …shows how much intersted u r to keep it alive…im not expecting any reply from ya so dunn worry …u dunn have to !!!
ok so whats up with all our fav songs people!..haan
these days as usual im listening kishore so u might expect a lot of his stuff from moi
jub dard nahin tha seenay mein
tub khak maza tha jeenay mein
ab key shaiyed hum bhee royay
sawan kay maheenay mein
yarroN ka ghum kya hota hai
maloom na tha anjaney ko
sahil pay kharay ho kur hum nay
dekha aksur toofanoN ko
ab kay shaiyed hum bhee doobay
mojoN kay safeenay mein …
Shor sharaba hi sabb kuch nahin honda, zara haqiqat wich weee jhanak ke takkooo.
By the way i desperately want some help
Can someone find the address of the ARMY MEDICAL COLLEGE IN RAWALPINDI IN PAKISTAN i want to apply there and i don't know their official web site.
I will do shoor sharaba next time when i have been entered into the ARMY MEDICAL.
lISTEN DO HELP ME!
AS ALWAYS
ZARA
Reyn deyo; eithay kisi nu, kisi cheez da shauq nai jay! I started a new topic; and look what happened; No replies! It's not like people don't watch movies here, and can't come up with 10 favorite ones. Sigh
aap kay anu-rodh pay (insistence)
mein yeh geet sunata hooN
apnay dil kee batoN say
aap ka dil behlata hooN
mut pocho auroN kay dukh mein
yeh prem kabhee kyoon rota hai
buss chot kisee ko lagtee hai
or dard kisee ko hota hai
door koi darpun tootay
tarap kay mein reh jata hooN .
(Kishore)
hanjee ......Kiran khan im awaiting songs from ya.....
hayaa ...so u finally took some respite from exams eh?
acha jee bhaiyo or behno ...achay achay geet likhain please ....or saath gayaiN bhee :)
MERAY MEHBOOOOOB TUJHAY MERI MUHABBAT KI QASAM
Phir mujhay nergisi aankhon kaa sahara day day
Mera khoya huwa rangeen nazara day day
Meray mehboob tujhay...
Bhool sakti nahin aankhain woh suhaana manzar
Jab tera husn mairay ishq say takraya thaa
Aur phir raah mai bikhray thay hazaaron naghmay
Mai woh naghmay teri awaaz ko day aaya thaa
Saaz-e-dil ko unhi geeton kaa sahara day day
Mera khoya huwa rangeen nazaara day day
Meray mehboob tujhay...
Yaad hay mujh ko meri umr ki pehli woh gharri
Teri aankhon say koi jaam piyaa thay mai nay
Meri rug rug mai koi barq si lehraaee thee
Jab teray mermeri haathon ko chhuwaa thaa mainay
Aa phir mujhay unhi haathon kaa sahara day day
Mera khoya huwa rangeen nazara day day
Meray mehboob tujhay...
Mai nay ek baar teri ek jhalak daikhi hay
Meri hasrat hay keh mai phir tera deedar keroon
Teray saaey ko samajh ker mai haseen taaj mahal
Chaandni raat mai nazroon say tujhay piyaar keroon
Apni mehki huwi zulfon ka sahara day day
Mera khoya huwa rangeen nazara day day
Meray mehboob tujhay...
Dhoondta hoon tujhay her raah mai her mehfil mai
Thak gay hain meri majboor tamanna kay qadam (haaaaaeyyy)
Aaj kaa din meri ummeed ka hay aakhri din
Kal naa jaanay mai kahaan aur kahaan tu ho sanam (aah)
Do gharri apni nigaahon ka sahara day day
Mera khoya huwa rangeen nazaara day day
Meray mehboob tujhay...
Saamnay aa kay zara perda utha day rukh say
Ek yehi ilaaj-e-gham-e-tanhaaee hay
Teri furqat nay pereshaan kiya hay mujh ko
Ab to mil ja keh meri jaan pay bun aaee hay
Dil ko bhooli huwi yaadon ka sahara day day
Mera khoya huwa rangeen nazara day day
Hayaa....
I'm very overwhelmed right now. Aankho(n) mey aik dumm sey paani aa gayaa as soon as I read the Rafi song.
Kuch beetee huee yaade(n) :)*.
I dunno what happened...
Gotta get that song from somewhere now...for sure.
I just listened to this one after a long time...doesn't match the calibre of your song but I love it :
Ajnabee kaun ho tumm
Jab sey tumhey dekhaa hai
Saree duniyaa mairee aankhon mey simatt aayee hai
Ajnabee kaun ho tumm...*
Just thought it would be nice to let u cry a little more (might help with ur bukhaar too) u can listen to this song on the real player here: http://www.indiamusic.com/
and yes ur acting exactly ur age…hota hota hay jee
Here is another one:
Tum ko daikha to yeh khayaal aaya
Zindagi dhoop tum ghanaa saaya
Aaj phir dil nay ek tamannaa ki
Aaj phir dil ko ham nay samjhaaya
Tum chalay jaao gay to sochain gay
Ham nay kiya khoya ham nay kiya paaya
Ham jisay gunguna nahin saktay
Waqt nay aisa geet kiyoon gaaya
zindagi dhoop tum ghana saaya
tum ko daikha to yeh khayaal aaya…
so ur working even with ur bukhaar? well i never thought i’d say this, but i am missing school…i am completely bored outa my mind rite now!
ajee, zakhmi to sab hi hotay hain…magar aik waqt aata hay jab dard lizzat ka ba`is banena shuru ho jaata hay…mainay samjha shayad aap uss manzil per puhunch chukay hain mai namak thorri chirrak rahi hoon mai to aap kay liyay taskeen ka saamaan paida kernay ki koshish ker rahi hoon naa…
woh maza diya tarrap nay keh yeh aarzu hay yaa rab
meray donon pehlu`on mai dil-e-bayqaraar hota
p.s oh yea i meant hota hay hota hay…not hota hota hay hehe
Dil hai chhotta sa chhotti si asha
Masti bhare mun ki bholi si asha
chand tarooN ko chhoonay ki asha
AsmanooN mein uRnay ki asha
Dil hai chhotta...
Mehak jaooN mein aaj tow aisay
phool buGiya mein mehkay heiN jaisay
badlooN ki mein auRooN chunariya
jhoom jaooN mein bun kay baNwariya
apni chotti mein bandh looN duniya
dil hai..
Suwurg see dharti khil rahi jaisay
mera mun bhi tow khil raha aisay
Koiyal ki turhaN gaanay ka urmaN
bijli ki turhaN muchlooN yeh urmaN
jawani hai layi rangeen supna
soja jane-mun:)
o
Roja jane-mun
tu hi mera mun
tujh bin tarsey naina
aankhon mein tu hai
sanson mein tu hai
aankhain bund kur loon
to dil mein bhee tu hai
sanson mein tu
aankhonmein tu
Roja......
well classic songs from roja .....i want more like these :)