Choti munni buchchi mujh ko sunao kahti hai. Bura maning.
Sir pay pyar say maring sabriya kay and kahing Sunain ainda bolna.
Main soch kay daikhna chahyay kay shop lifting main inko pata chalta hai kay naheen.
Waisay main bar’i imandaar aan. Aisay kaam kabhi naheen kiaay per kuch tareeqay aisay atain hain kay bohat safai say chori kar sakti hoon koi pakar’ naheen sakta.
So idea pay amal kar kay jo kay bohat asa hai hum nain do jeans ki pant uthai aur pay kiaay baghair lay aay.
Hum nain kaha daikhain to yay itna security ka kahtain hain kia hamain pakar’ patain hain aur ghar main aa kar bataya apnay say bar’ay aik fard ko us nain kaha tumhara dimagh kharab hai kia kia pagal pun karti ho.
**Per main kia karoon bohat dinon say dil chah raha tha check karnay ka kay yay gadhay kia bacha saktain hain asian choron say. **
Yay batain hamain apni maharat ka andaza aur shauq aik drama daikh kar huwa tha jismain jaib kartnay ka tareeqa seekhaya hum nain us ki practise ki aur aisay ustaad ho gaay kay bhai log jub barabar main baithtay thay hum unki jaib kaat laitay thay aur unko zara bhi pata naheen chalta phir hum unkay paison main say kuch paisay detay thay ussi kay haath aur kahtay thay jao zara sub kay liay mithai lay ao phir mangwa kar khatay thay aur khanay kay baad batatay thay kay hum nain tumhari jaib kaat kay tumharay paisay say khilaya hai sub ko.
Waisay hum apnay paison say apnay bhai bahnon ko taqreeban roz ya aksar khilatay pilatay rahtay thay is liaay wo apnay paison ka samajh naheen pata thay.
Unko kahtay thay tumhari practice kara rahain ahain koi bhi tum logon kay asani say jaib kat sakta hai.
Phir to meray saray bhaion ki aisi adat ho gai kay neend main sotay huway bhi jaib katna hamaray liaay dushwar ho gia kay neend main bhi unka haath jaib pay ata tha halka sa jaib hilnay pay bhi.
Haan to asal story ki taraf ain.
Phir hum nain bola kay hum dukan ja kar batain gay kay hum yay chura kar laay gaay thay aur chori karna kitna asan hai. So bar’ay anain bola kay wo log chori main dhar lain gay aap ki imandari naheen daikhain gay.
**Ghar kay bar’ay fard nain kaha jis tarha chupkay say laeen theen wapis rakh ain. **
Phir hum nain bhi socha musalmanon ki badnami hogi is liaay munasib yayhi samjha kay wapis rakh ain kioon kay hum scarf pehantain hain aur hum pay zimmaddari aid hoti hai kay usko ruswa na karain apnay kisi amal ya adventure ki wajah say.
So hum nain ja kar wapis rakh dia. Per chori kar kay bohat khushi huwi thi. Shaitani khushi.