AQ
1
This poem is dedicated to one of my true and caring friends who actually helped me understand the rise and fall in life:flower1:..
[thumb=D]zindagi.JPG[/thumb]
**
Kiyaa Ajab kahaani hai udaas see iss zindagi kee
Dosti ik nay choRi, milli rifaaqat hazaarouN kee
Magar iss hujoom-e-chaarah garouN maiN iltefaat waisaa tau har giz nahiN hai
Jaisee lataafat thee faqat uss ik anmol dosti kee
SochouN kay dhaaray, Intezaar kee ghaRRiyaaN, woh shabb-e-HijraaN
Garmi Muhabbati kee hoti a’ayaaN thee, uss shikwah-e-khamoshaaN kee
Iss Imtehaan-e-Zindagi maiN hai abb haarna mujhay
SadaaouN maiN hai khalish apni bay kaar zindagi kee
Hai ik chubhan dil maiN, apnay hee aansoo’ouN say waabasta
Hoti hay mehsoos dekh kar tujhay, Abb kammi dosti kee
Zulm-e-Qudrat bhee khaas mehrbaaN hai kuch mujh par
Woh dil hee chin gayaa, aarzu jiss ik dil kii kee
Jaanay kahaaN hotay thay woh din meray basar
kay jin dinouN maiN apni dosti urooj par thee
YaadouN kay dareechay maiN ik Gulaab aisaa bhee thaa
Jiss kay khilay rehnay kee sadaa, aarzu maiN nay kee
Woh Gulaab khilaa tau apnouN nay hee tauR liyaa
Millay kaaNtay ba-taur-e-Ujrat, mazdoori meray paseenay kee
Phool tau mill hee jaaieN gey bay shumaar, zindagi maiN Anwaar
MiTTaaouN kaisay haathouN say khushbu, uss GuL-e-Bay Misaal kee
— Anwaar**
Hai ik chuhban dil mein, apne hee anso’n se wabasta
Hoti hai mehsoos dekh ker tujhe, ab kami Dosti ki…
sigh
*
*
Yado’n k dareechay mein ik Gulab aisa bhee tha
Jis k khile rehne ki sada, Aarzoo mae ne ki…* :k:
you reminded me of my lost friend :(
Phool tau mill hee jaaieN gey bay shumaar, zindagi maiN Anwaar
*MiTTaaouN kaisay haathouN say khushbu, uss GuL-e-Bay Misaal kee *
sigh
oh wow 
thori mushkal se hai par meray liye hai na 
Sham talay khirki talay tum seeti beejina chor doo

system
10
Beautiful, bohat achi hai.. :k::k::k:

AQ
11
Tikhi: yeh thaNdii aahaiN kiss baat kee? 
Azad: :–D](http://www.gupistan.com/forums/showthread.php?s=&threadid=120678)
Sandleen: no it’s not for you:P lol@ khirki talay tum seeti bajaana chor doo :hehe:
Vived: 
Baqii sab tou theekh hay par iss mein 3 baar mera naam ayaa hay 
Anyway Thanks for sharing your work:k:
Woh Gulaab khilaa tau apnouN nay hee tauR liyaa
Millay kaaNtay ba-taur-e-Ujrat, mazdoori meray paseenay kee
Phool tau mill hee jaaieN gey bay shumaar, zindagi maiN Anwaar
MiTTaaouN kaisay haathouN say khushbu, uss GuL-e-Bay Misaal kee
*sigh
Hai ik chuhban dil mein, apne hee anso’n se wabasta
Hoti hai mehsoos dekh ker tujhe, ab kami Dosti ki…
Anwaar, you are a good poet yaar :k: :k: :k: