LP
1
Shikwa Karen Tou Kis se, Shikayat Karen Tou Kya
Ek Raigaan Amal Ki Riazat Karen Tou Kya
Jis Shae Ne Khatm Hona Hay Aakhir Ko Ek Din
Uss Shae Ki Itne Dukh Se Hifazat Karen Tou Kya
Harf-e-Darogh, Ghaalib-e-Shehar-e-Khuda Hua
Sheharon Mein Zikr-e-Harf-e-Sadaqat Karen Tou Kya
Ma’ani Nahi Munir Kisi Kaam Mein Yahaan
Taa’at Karen Tou Kya Hay Baghawat Karen Tou Kya
Diva
2
Re: Shikwa karen tou
Ghar per beth jaatey hain ..hai na!!
Jab merna he hai tou kaam karain kya ...aur kyun :)
On serious note: Behtareen!
Re: Shikwa karen tou
Jis Shae Ne Khatm Hona Hay Aakhir Ko Ek Din
Uss Shae Ki Itne Dukh Se Hifazat Karen Tou Kya
:k: sab fani hai.. fana ke peeche fana ho jana be-waqoofi hai. fana fillah ho jana is the right approach.
Re: Shikwa karen tou
sochi paiya te banda gaya
LP
6
Re: Shikwa karen tou
Ghar pe baithay bhi loog milainge 
Re: Shikwa karen tou
sufi's k tarah ?
yes aqalmand logon ki tarah
Re: Shikwa karen tou
Apni soch share karain :)
may tu soch raha hoon k shairi mayoshi may "kya" kar raha hai ya sawaliya andaz may....
LP
11
Re: Shikwa karen tou
may tu soch raha hoon k shairi mayoshi may "kya" kar raha hai ya sawaliya andaz may....
Uss soch ka nateeja kya nikla ?
LP
12
Re: Shikwa karen tou
yes aqalmand logon ki tarah
Allah ne kahan kaha k dunya se cut k baith jao kisi jungle mai ja ke ?
Re: Shikwa karen tou
Uss soch ka nateeja kya nikla ?
Woh shakhss bhi insaan hai, Kuch keh nahin sakte.
tarash
14
Re: Shikwa karen tou
Jis Shae Ne Khatm Hona Hay Aakhir Ko Ek Din
Uss Shae Ki Itne Dukh Se Hifazat Karen Tou Kya
boht aala
Re: Shikwa karen tou
Jis Shae Ne Khatm Hona Hay Aakhir Ko Ek Din
Uss Shae Ki Itne Dukh Se Hifazat Karen Tou Kya
boht aala
bohat aala ko zara shaier ki explaination may bhi batain na :) aap nay kiya socha yeh parh k :)
tarash
16
Re: Shikwa karen tou
bohat aala ko zara shaier ki explaination may bhi batain na :) aap nay kiya socha yeh parh k :)
is ki tashreeh muqawee bhai behtar kar chukay hain
Re: Shikwa karen tou
Allah ne kahan kaha k dunya se cut k baith jao kisi jungle mai ja ke ?
Fan Fillah ka matlab dunia se kat jana to nahin hai
tarash
19
Re: Shikwa karen tou
post#3 parhein sab samajh aa jaey ga