Shikra bi 20 20 pakistan harnay kay baad chars peene lag jata hai, aur saath mai baray sootay. Usko khansi lag jaati hai, usko achanak yaad ata hai kay cheecha watni kay kabrastaan kay peechay EMM ki clinic hai to wo udhar jata hai.
Shikra: Aap meri khansee theek kar sakteeN haiN?
EMM: Kiyoon NaheeN! Apnay ghar ja kar kaafi dair tak thanday paani mai NAHAYO! Kam say kam teen ghentay shower say bahir na ana.
Shikra: Kya thanday paani say nahanay say meri KHANSEE door ho jaye gi?
EMM: Ye to maiN nahi jantee magar itna zarooR jantee hooN kay thanday paani say nahanay say aap ko namoonia ho jaye ga, aur NAMOONIA ka ilaaj muje ata hai . . .