barha mujh kaha dil nay k ay shebedah ger
tu k alfaz say asnam geri kerta hay
kabhi us husn-e-dil aara ki bhi tasweer bena
jo teri soch k khakon main lahou bherta hay
barha dil nay yeh aawaz suni aur chaha
maan loun mujh say jo wejdan mera kehta hay
laikin is ijez say hara mera fen ka jadou
chand ko chand say berh ker koie kia kehta
Ahmed Faraz