apane seenay se lagaaye huye ummeed ki laash
muddaton zeest ko na-shaad kiya hai main nay
tu ne tau eik hi sadmay se kiya tha do chaar
dil ko har tarah se barbaad kiya hai main nay
jab bhi raahoon main nazar aaye hareeri malboos
sard aahoon main tujhe yaad kiya hai main nay
aur ab jab k meri rooh ki pehnayee main
eik sunsaan si maghmoom ghata chhayee hai
tu damakatay huye aariz ki shuaayain lekar
gul-shuda shammain jalanay ko chali aayee hai
meri mehaboob yeh hangama-e-tajadeed-e-wafa
meri afsurda jawanii k liye raas naheen
main ne jo phool chunay thay tere qadamoon k liye
un ka dhundhlaa sa tasavvur bhi mere pas naheen
ek yakh basta udasi hay dil-o-jaan pay muheet
ab meri rooh main baaqi hai na ummeed na josh
rah gaya dab ke giraan baar salaasal ke tallay
meri darmaanda javani ki umangoon ka Kharosh
raigzaaroon main bagoloon k siwa kuch bhi naheen
saaya-e-abr-e-guraizaan se mujhe kiya lena
bujh chukkay hain mere seenay main muhabbat k kanwal
abb tere husn-e-pashemaan se mujhe kiya lena
tere aariz pay yeh dhalkay huay seemeen aansu
meri afsurdagi-e-gham ka madava tau naheen
teri mehboob nigaahoon k payam-e-tajdeed
Eik talafi hi sahee, meri tamanna tau naheen
–SAAHIR