**
apane seene se lagaaye hoye ummeed ki laash
muddatoN zeest ko naashaad kiyaa hai maiN ne
tuu ne to ek hi sadame se kiyaa thaa do chaar
dil ko har tarah se barbaad kiyaa hai maiN ne
jab bhe raahoN meiN nazar aaye hariirii malaboos
sard aahoN se tujhe yaad kiyaa hai maiN ne
aur ab jab ki meri ruuh ki pahanaaee meiN
ek sunasaan si maghmoom ghaTaa chhaaee hai
tuu damakate hue aariz ki shuaayeN lekar
gulshudaa shammaiN jalaane ko chali aaee hai
meri mahaboob ye hangaamaa-e-tajadeed-e-vafaa
meri afasurdaa javaani ke liye raas nahi
maiN ne jo phool chune the tere qadamoN ke liye
un kaa dhuNdhalaa saa tasavver bhi mere paas nahi
ek yaKhbastaa udaasi hai dil-o-jaaN pe muheet
ab meri rooh meiN baaqi hai na ummeed na josh
rah gayaa dab ke giraaNbaar salaasil ke tale
meri daramaandaa javaani ki umangoN kaa Kharosh
**