bar ha dil kaha mujh say k aaye sobdagur
tu k alfaaz say asnaam garee kerta hay
kabhee uss husnay dil ara ki bhee tasveer bana
jo teri soch k khakoo-n may lahoo bherta hay
baar ha dil nay yeh awaz suni aur chaha
maan loo-n mujh say jo wijdaan mera kehta hay
lakin iss ijzz say hara meray fun ka jado
CHAND KO CHAND SAY BERH KER KOI KIA KEHTA HAY