SHIDAT’AIN JUDAI KI
Iss kadar musalsal hain ye shidatain judai ki’n k jee chahta hi k itna ro’on k sehra ko samandar
kardon,ye meri kismat main judaaion k azaab kion likhay gaye ay KHUDA agar Tu ne mohabat banai hai
to iss main kion judaai hai.Itni taveel raahain hain k chala nahi jaata khtam kar de judai k abb uss k bin
raha nahi jaata.
Ye zehar judai ka apna rang jamanay laga hi din raat uska khayal satanay laga hai,
zindagi yun basar ho rahi hai uss k bin jaisay waqt chupkay chupkay zehar pilanay laga hai mujhe dar
lagnay laga hi k kahin main haar na jaaon inn judaion say laikin ye kaisay mumkin hi keh jab tak uski
yaad ki parchaaian mere sath hain mujhe koi nahi hara sakta main uss waqt tak baghair saahns liye
jee sakta hoon k jab judai haar jaaye gi aur mere hathoon main uskay haath hongay.
Ab to waqt be waqt uskii yaad satanay lagi hi uskay sath honay ki khwahish
har pal sataanay lagi hi woh he bazid tha jaanay k liye warna kia main usay jaanay daita uss ne mujh
se judaai maangi so main ne de di abb pachta raha hoon k kaash uski baat na maani hoti usay
jaanay na dia hota so abb uss se duur hoon aur abb judai k mosam pe taaza safhay likhnay baitha hon
to zehan main wohi puranay alfaaz goonj rahay hain jo main kai baar likh k mita chuka hon.
Judaion se gila karnay se kuch na hoga ye judaiaan to aag ki baarish ki tarah hain
jo vasl ki narm phuwaar se he bujhe gi aur bohat jald bujhain gi’n dua karna.
4:38 AM 5/10/2006