Shia Sunni Dialogue

Re: Shia Sunni Dialogue

g bilkul aap ki baat waazeh or qabil-e-fehem hay or durust bhi.

yeh thread dono'n itraaf kay khaas tor par aisay kuch logo'n kay liay khola hay jin kay paas bila daleel bay shumar sawalat or phir un sawalat kay khud saakhtah jawabat ki aik lambi fehrist mojood hay. or woh un bato'n par kisi daleel ko bhi hatta keh quran kay khulay ahkamaat ko bhi radd kar dainay mai'n koi kasar nahee'n uthaa rakhtay.

or yeh sub kuch "ulama-e-soo" kay qabeel say kuch logo'n ki "parhi likhi jahalat" ka hi paish khema hay keh jin ki "tang nazari" or chikni shupri bato'n mai'n aa kar "tehqeeq say aari" musalman khilaf-e-mansha-e-Allah-o-Rasool s.a.w.a.w., aamaal ko zindagi ka orhna bichona bana laitay hai'n or iss gumrahi ko woh apni danist mai'n "deen-e-haq" ka naam bhi daitay hai'n or is kay sath sath "2 rakat kay mulla g" kay beh'kaway mai'n aa kar kisi kay liay bhi kufr ka fatwa apni zaban par tayyar rakhtay hai'n.

*SindSagar brother, mai'n ittefaq karta hoo'n aap ki baat say keh *

"one can not......"

laikin agar Allah or us kay kalam ki taaeed aap kay sath ho to phir bhi kia aap "one" ki is'talah hi istamal karai'n gay? :)

or jo bhi yeh samajhta hay keh us kay amaal ko kitab-e-Ilahi ki taaeed hasil hay or doosro'n ko woh gumrahi mai'n paata hay to aisay tamam hazrat say guzarish karoo'n ga keh woh mukammal hawalay kay sath apni baat ko sub par paish karai'n takeh gumraho'n ki rahnumaee ho sakay.

Fidvi ka eeman hay keh agar aap ki haq baat say koi aik bhi hidayat paa gaya to yaqeenan jannat aap hi kay liay to hay.....

brother knockout_artist, yeh dono'n bhai bhai hai'n is liay hi to chahta hoo'n keh aakhirat mai'n dono'n "yak'jaa" ho jae'n.

ab aik bhai jannat mai'n ho to doosra jahannum mai'n achcha to nahee'n lagay ga na.........

ya achcha lagay ga???