_Nazish
1
Kuch fikr ki kaliyoN ko chun kar
LaRiyoN maiN paroya jata hay
Daaman per aaye daghoN ko
AshkoN se dhoya jata hay
Afkaar ki tapati dhoop talle
SochoN ko ubaala jata hay
Phir waqt ke Daste sanpon ka
Kuch zehar nikala jata hay
Kuch un maiN taRhap judaii kii
Kuch wasl ki ratoN ka darpan
Kuch un main jafa’oN ke qisse
Baydard jafa’oN ka joban
Her urq-e-nadamat ka qatra
lafzoN ke ruup maiN dhalta hay
Phir khoon-e-jigar shamil ho kar
Shehron ka rang badalta hay.
Azad
2
Her urq-e-nadamat ka qatra
lafzoN ke ruup maiN dhalta hay
Phir khoon-e-jigar shamil ho kar
Shehron ka rang badalta hay.
yeh aaj Nazish nay kaisi Nawazish ki hay …
Beautiful :k:
WiseGuy
9
Very impressive :)
Thanks for sharing
Ana
10
Beautiful
. Nazish, who’s verse was this?
_Nazish
12
Thank you everyone for liking it.
Ana, i dunno who wrote it, sorry.