Shehr e Zaat by HUM TV

Re: Shehr e Zaat by HUM TV

This excerpt is from the novel may be this paragraph can explain it better:

"Mard ko khush karnay k liye kia kia krti hai aurat. Andar badal daiti hai, bahar badal daiti hai. Dil badal daiti hai, wujood badal daiti hai, sirf is liye k woh khush rahay . Naraz na ho, us ki nazar na badlay. ALLAH ko khush karnay k liye wo baatin kia zaahir ko badalnay ko tayyar nahi hoti. ALLAH kehta hai sar ko dhaanp lo.Mard kehta hai sar ko mat dhaanpo. Meri biwi ko modern hona chahiye.
Woh ALLAH ki nahi sunti mard ki sunti hai .ALLAH kehta hai apnay wujood ko dhaanpo , apne zeenaton ko chupaao , mard kehta hai aisa mat karo takay meray saath chalti phirti acchi lago. Woh ALLAH ki nahi manti mard ki manti hai , woh kehti hai mard k sath rehna hai . Sari umar basar karni hai , uss ki nahi manain gay tou kis ki manain gay, mard ki tou biwi hai , ye rishta tou kabhi bhi toot sakta hai.ALLAH ki tou makhlooq hai , yeh rishta tou kabhi toot nahi sakta woh daaimi rishtay ki fikar nahi karti .Saari umar aarzi rishton ko roti rehti hai. Unn ki fikar karti hai.ALLAH nay tou aurat ko ghulam nahi banaya . Majboor nahi banaya .Mehkoom nahi banaya ,uss nay khud bana liya hai,apna mehwar ZAAT ko nahi WUJOOD ko bna liya hai.

Shehrezaat

"