Shehr-e-Kheyal-o-Khwab Mein Abad Ho Gaya,
Itna Ussey Parha Ke Mujhe Yaad Ho Gaya.
.
Main Aaj Tak Hoon Jiss Ke Faraib-o-Hisar Mein,
Woh Aur He Kisi Ka Mere Baad Ho Gaya.
.
Apni To Sari Umer Aseeri Mein Katt Gayi,
Jiss Ne Bhi Haar Maan Li Azad Ho Gaya. :shoaby:
.
Pehle To Paniyon Se Rahi Guftagu Apni,
Phir Yoon Howa Ke Ayena Ijad Ho Gaya…!!
madam is shair ka matlab hai k jb mohabat ka aghaz hota hai tu insan ka dil machla howa hota hai wo bahar jata hai har cheez may mahboob ka aksar dekhta hai ghanto pani k kinaray betha batain karta hain pani may dunia ka har rang reflect hota hai…khushi hoti hai…woo shair hai na k
Ye Kis Mod Per Le Aayi Hai Teri Justuju
Pani Mein Aks Mera Hai Aur Nazar Tu Aaye
lakin jb mahboob roth jaata hai tu insan khud ko qaid kar leta hai…kisi cheez ko dekhna pasand nai karna, us waqat us ko har cheez aina dikhaye deti hai jis may us ka apna aksar nazar ata hai, udas ujra howa, aik he udasi ka rang…so is liyay shair keh raha k
Pehle To Paniyon Se Rahi Guftagu Apni, yani pehlay dil khush tha, mahboob k honay ka ehsas tha, mohabat thi, dunia ka har rang mahboob ka rang tha lakin bichar gaya hai tu
Phir Yoon Howa Ke Ayena Ijad Ho Gaya…
yani may pehlay har cheez say teri batain karta tha, ab may udas hon, kisi say teri baat karon tu woo aisa lagta mujay tanay deti hai k kahan hai tera mahboob jis ki bari batain kartay thay…so ab sirf ainay say batain karta hoon yani khud say apnay dil say or tanhaye ka azaab jheelta hoon or
Har aayina meri aankhon se poochta hai yeh,
Woh shakhs kya huey?? abaad jin se yeh ghar tha