**Shehr-e-khayal-o-khwab me abaad ho gaya
Itna usey parha keh mujhe yaad ho gaya
Main aaj tk hun jis k faraib-o-hisaar mein
Wo aur hi kisi ka mere baad ho gaya
Aandhi hawa ka saath nibhane k shoq mein
Koi tabah ho gaya barbad ho gaya
Apni to sari umar aseeri main kat gayi
Jis ne bhi haar maan li azaad ho gaya
Pehle to paanion se rahi guftagoo meri
Phir youn hua k aiyna ejaad ho gaya..!!!**