Moti ho kay sheesha, jaam ho kay dur
Jo toot gaya, soo toot gaya
Kub aashkoon sey jur sukta hai
Jo toot gaya, soo toot gaya
Tum naa-huq tukrey chun chun ker
Daamun main chupaaye baithey ho
Sheeshoon ka maseeha koi nahi
Kiyon aa’s lagaye baithey ho
Shayed kay inhi tukroon main kahin
Wo saaghur dil ho jis main kabhi
Sud-e-naaz sey uthraa kerti thee
Sehbaaye ghum-e-janaan ki puri
Phir duniua waloon ney tum sey
Ye saaghur ley kay phoor diya
Ye saaghur, sheeshay, laal-o-guhr
Saalum hoon tpu qeemut paatey hain
Yoon tukrey tukrey hon tou fuqt
Chubtey hain, laho rulwaatey hain
Tum naa-huq sheeshey chun chun ker
Daamun main chupaaye baithey ho
Sheeshoon ka maseeha koi nahi
Kiyon aa’s lagaye baithey ho…
*Faiz Ahmed Faiz