tanaao mein jab aa jaein to dhaagay toot jaatay hein
zara c baat par dereena rishtay toot jaatay hein
tumhein is baat pe herat k toota hai hamara dil
muqaabil jab k hon pathar to sheeshay toot jaatay hein
guzartay waqt se cheezein puraani ho hi jaati hein
dilon mein mael parti hai to jazbay toot jaatay hein
hazaaron khwaahishein tarteeb paati hein khayaalon mein
magar jab aankh khulti hai, to sapnay toot jaatay hein
umad aatay hein jhurrion mein hazaaro dukh zamanay k
guzar kar umr k hissay se chehray toot jaatay hein
najaanay kyon tumhaari yaad aati hai mujay us dam
mere aangan mein jab belon k pattay toot jaatay hein
dukhon mein to nikal aatay hein aankhon se ZAHEER aansu
khushi k mosamon mein bhi kinaaray toot jaatay hein