shayri k inn kuch alfaaz mai
uljhi huhi, logo ki dard bhari zindagia dekh kar
aksar ek khyaal sa ata hai k yeh kuch alfaz
kisi ka haal-e-dil byan karnay k liye
kaafi tou nahi
phir log inn ka istmal kiya kartay hai?
yeh woh jaam tou nahi
jisay haath mai le kar zakhmo ko bhulya ja sakay
phir q inn ka sahara liya kartay hai?
yeh woh humsafar tou nahi
jiskay saath zindagi k faaslay tay ho sake
phir q log inn ka saath liya kartay hai?