Re: Shayrana guftugu - July 2013
Faisal Qureshi ne bhi to karwaya hai transplant
warna lagne laga tha wo bhi egg-plant
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Faisal Qureshi ne bhi to karwaya hai transplant
warna lagne laga tha wo bhi egg-plant
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Jub baat ho rahee ho shairana
be-wazan bhi ho per hai shairana
Re: Shayrana guftugu - July 2013
shairy ki tangein tooti huyi hun tu koi kya karey
shaiyar tu madhosh para hai sahilun ke kinarey
ye lein orr ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
mehfil say niklay hongey dhamaka karnay kay liye Wapis aye toh kuch nahin bachha tha aap kay liye.
:D
bacha kay kuch rakhty tau hum bhee aaj kahtay
eik hain humary uncle jo uk main hain rahtay
Re: Shayrana guftugu - July 2013
bhai ne kar diyaa dhoti meN dhamaaka
baazaar band, ab kare public faaqa!
Re: Shayrana guftugu - July 2013
bhai ne kar diyaa dhoti meN dhamaaka baazaar band, ab kare public faaqa!
faaqa hai fashion main hoon tum ko batata
shoor na paa hun bass aish karr kaka
Re: Shayrana guftugu - July 2013
**kiskaa kaakaa kiskaa bhateejaa? hor suno jii,
chal phooT kar ab tu paijaame meN dhamaaka! **![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
hoga bara nusqan kay hai pajama eik
udhar dai dou agar hai pajama eik
Re: Shayrana guftugu - July 2013
hoga bara nusqan kay hai pajama eik
udhar dai dou agar hai pajama eik
bhai, aaj naqd kal udhaar le lenaa
aaj chaDDii le lo, kal paijaama le lenaa
Re: Shayrana guftugu - July 2013
bhai, aaj naqd kal udhaar le lenaa aaj chaDDii le lo, kal paijaama le lenaa
ghazab kiya teray waday pay aitbar kiya
pajama tau pajama chaddi ka sari raat intazar kiya
Re: Shayrana guftugu - July 2013
bacha kay kuch rakhty tau hum bhee aaj kahtay eik hain humary uncle jo uk main hain rahtay
Hur waqt aap khatay hee rehtay hain
issi liye hum door UK mein rehtay hain
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Hur waqt aap khatay hee rehtay hain issi liye hum door UK mein rehtay hain
app zinda rahny ko khatay hain
hum khany ko zinda rahty hain
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Marna hai to nazron se maaro, talwaaron main kia rakha hai
brtho rikshaw main safar karo, Pajero ka main kia rakha hai
Rikshaw no: battee ath chhattar (D 32876)
Re: Shayrana guftugu - July 2013
pejaro main tau humlatay hain pathay
rikshay walay hain bohat ullu kay pathay
Re: Shayrana guftugu - July 2013
acha ji.. hmmm. mitti pao…
kon bojhe ga zubeda aap ki paheli ye latest?
anden nahin honge to joo’en kaise karengi exist?
![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
ghazab kiya teray waday pay aitbar kiya
pajama tau pajama chaddi ka sari raat intazar kiya
va'da na huaa goyaa k koii signed agreement huaa
chaDDii raatoN raat bane paijaama, aisii karo koii du'aa :D
Re: Shayrana guftugu - July 2013
ghazab kiya teray waday pay aitbar kiya pajama tau pajama chaddi ka sari raat intazar kiya
kissi achay say dhobi ka intikhab kiya hota
tamaam raat yeh intezaar na kiya hota
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Police Nu Aakhan Rishwat khor te faydaa kee
Boothi hojaye hor di hor te faydaa kee
Fer jo kerda phiraan takorr te faydaa kee
![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
kissi achay say dhobi ka intikhab kiya hota tamaam raat yeh intezaar na kiya hota
achay dhobi aab kahan miltay hain
sukhay phool sirf kitaboon main miltay hain
Re: Shayrana guftugu - July 2013
achay dhobi aab kahan miltay hain sukhay phool sirf kitaboon main miltay hain
Kitabein iss daur mein kaun parta hai
zamana sub kuch google pey dhoodta hai