Re: Shayrana guftugu - July 2013
Yeh toh karachi walon ka roz ka rona hai sub yahan jata hai sirf batha wala aata hai
aakhri line ki samajh nahin aai
Kabir ka doha hai, ya khayyam ki rubai
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Yeh toh karachi walon ka roz ka rona hai sub yahan jata hai sirf batha wala aata hai
aakhri line ki samajh nahin aai
Kabir ka doha hai, ya khayyam ki rubai
Re: Shayrana guftugu - July 2013
aakhri line ki samajh nahin aai Kabir ka doha hai, ya khayyam ki rubai
Ghaur say parho samjh aa jay gee
bhai ka socho samjh aa jaye gee
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Ghaur say parho samjh aa jay gee bhai ka socho samjh aa jaye gee
Bhai aur Bhatta ek hai kahani
Bhatte ko fitra kehne ki reet purani
Re: Shayrana guftugu - July 2013
oper app ney ki thi PTV ki baaat
phir mae kyun jalun apney dimagh apni bati sari raat ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
abb tu achi nend anna bhi muhaal hai
her waqt ki ye susti bhi kamaal hai ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Susti ka hee kamal hai joh abhi tuk 500 nahin howey
aur tp mein bhi susti kay kamal say 1500 nahin howey. ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Sab kuch abb tu ker diya hai waqt ke naam
Paband hu ke uskey hum kertey hain chubis so ghantey kaam ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Subah howey hai yahan
naya shahzaday aaya hai yahan
saath mein baarish laya hai yahan
aagay aagay dekhey hota hai kiya yahan
Re: Shayrana guftugu - July 2013
din badle nahin UK walon ke
barish main bheegne walon ke
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Baree dair baad aeee hai baarish
maqusam khushgawar ker gayee hai baarish
Re: Shayrana guftugu - July 2013
mousam tu hai acha yahan ka bhi
lekin barshi ke nahi nazer Atey koi asaar ![]()
…
pheroo barish wali shairy
hu jaye ga mousam lajawab ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Aaj toh baarish nahin suraj nikla howa hai
sara din sakht garmeee kee umeed hai
Re: Shayrana guftugu - July 2013
khuwaishun ka ek dahga jo hum ney bandha hai
phir se ek umeed ki hai us ka na tootney ki
tooot jaye ga wo dhaga ager na janey kyun
lekin phir se ek umeed hai us ke jorney ki
Re: Shayrana guftugu - July 2013
August bhi aa gaya hai
yahan koi nahin aaya hai.
Re: Shayrana guftugu - July 2013
August aya hai abhi tu septem phir noveber phir december bhi aye ga
Abhi tu bohut kuch baqi hai kuch kertey hain nahi tu sab yunhi guzer jaye ga ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
iss thread ko neeche lao
august ka thread abhi lagao ![]()
Re: Shayrana guftugu - July 2013
August ka thread khud lagein
dosron koh rules na sunayein
Re: Shayrana guftugu - July 2013
Ye kaam tu kersaktey hain app bhi
Phir hum hi kyun zehmat uthyein ![]()
Abhi thora ruk jayein ![]()