enter10
1
**Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,
Ta`umar dhoondta raha manzil main ishq ki,
Anjaam ye k gard-e-safar le ke aa gaya,
Nashtar hai mere haath mein kaandhon pe maiqada,
Lo main ilaaj-e-dard-e-jigar le ke aa gaya,
Fakhir sanam kade mein na aata main lot kar,
Ek zakhm bhar gaya tha idhar le ke aa gaya…!**
Re: Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya
**Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya,
Kaatil ko aaj apne hi ghar le ke aa gaya,
yun kisi ko ghar nahin late aajkal
**
enter10
3
Re: Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya
right bro…nadani mein aisa howa hoga
KKF
4
Re: Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya
SaHer kisii laRkii kaa naam hai jo use qaatil kahaa aur ghar laane par beGham se jhagRaa fasaad huaa/ :D
enter10
5
Re: Shayad main zindagi ki sehar leke aa gaya
Shayad aisa hi ho…