Shayad hum bhi azad ho jate...!

Aj dil ka dukh kisi ki zuban par tha.
Ansoo us k nikalne ko betab the.
Hum se raha na gaya hum ne bat badal de.
Hum un ashkon ko dekhna na chahte the.
Jab bhari hoi ankhen itna dukh de rahi thin.
To wo ansoo ki larian hum ko toor daltin.
Magr ab dukh hota he us lamhe ko yad kar k.
Kash!
Hum us k dil ki bat sun lete.
Pehle us ka dil bhaari tha.
Ab hamara dil bechen hay.
Kash!
Wo larian toot jatin.
Shayad hum bhi azad ho jate…!

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

wah.. kia baat hai.. Lamhe movie yaad aa gai

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

Kia story hy uski.........?

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

hero heroine se kuch nahin keh pata aur wo kisi aur ki ho jati hai... Moral of the story: Dil ki baat hamesha keh daalo, ziada se ziada inkaar hoga na.. ye khalish nahin rahe gi ke maine kaha hi nahin

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

achay bachay filmein ziada nahin dekhtay

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

maar bhi par sakti hai:ASA:

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

her baat ko kehne ke tareeqe hote hain.. grown-up / mature log maar dhaaR se kaam nahin lete

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

tajarba bolta hai:Princeali:

Re: Shayad hum bhi azad ho jate…!

^:cb:

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

tajruba nahin gumaan bolta hai :)

Re: Shayad hum bhi azad ho jate...!

gumaan ghalat bhi ho sakta hai