shayad bicharnay walay hain phir karvan say hum..! Last posting!

[thumb=C]lake22.JPG[/thumb]

Jatay huay meri last posting phir milengey gar khuda laya !

**

So baar sunn chukay jo kahani jehan say hum
ab sunna chahtay hain tumhari zuban say hum

tang agaye hain aah o fagan say hum
koi batao laien inhien ab kahan say hum

manoos hi nahin hain ghum-e- gulistan say hum
kiya khaak dil lagaien bahar o khizan say hum

anay lagay hain pesh wohi ghum kay hadsay
shayad bicharnay walay hain phir karvan say hum

darmandagee o beykasi o yaas o istiraab
kiya lay kay uth rahay hain teray Aastaan say hum

tujh ko mubarak rahay teri zindagi
lay jarahay hain Uth teray Aastaan say hum

Aik arzoo ki tasali na hosakhi
roye lipat lipat kay Ghum -e-doo jehan say hum !!

** Lamhay!

kahaaN jaa rahii haiN Aap ?

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *
kahaaN jaa rahii haiN Aap ?
[/QUOTE]

Out Of town! kaam hai zaroori bahut say na siso! phir milengey gar khuda laya :)

[QUOTE]
*Originally posted by Lamhay: *

Out Of town! kaam hai zaroori bahut say na siso! phir milengey gar khuda laya :)
[/QUOTE]

Oh okay:-)
kheryat say jaaiye aur waapis aaiye:-)

[QUOTE]
*Originally posted by GuL-e-Tasbeeh: *

Oh okay:-)
kheryat say jaaiye aur waapis aaiye:-)
[/QUOTE]

Thanks :) siso !!

very nice…:k:

aap ka intezaar rahy ga… :slight_smile:

:k:

Zindagi ke is mubarak safar per hamaari tooti huwi duaein aap ke saath rahenge... hosake tu apni duaoon mein yaad rakheyeyga.. ain nawaazish hogi ... !

Dua hai ke aap jahaan rahain sukoon se rahain aur aap ke dilli duaoon ko maqboleyyat ka darja atta ho.. Ameeeeen !!!

"Last Posting" ki wajah se aap ne kuch ziyada hi drama nahi khara kar diya :p

Khair se jaiyeN aur khair se aayeN :)

Awww its beautiful,and hope to see you back Insha Allah.:flower1:


Udaseyaan be-sabab nahee hain
Udaseyoon ka agar yeh mausam
Thehar gaya tu ghazab kareyga
Na jee sakoge na mar sakoge
Har ek pal kisi ko talab kareyga
Udaseyaan be-sabab nahee hain
Suno... jo Lamhay hain aaj haasil
Unhain hamesha sambhaal rakhna
Wafa ke gulshan mein charoon jaanib
Bahaar rakhna, nikhaar rakhna
Muhabbaton ka waqaar rakhna...

Jahaan mein kitne hi log aaye
Rahay bassay aur ujjar gaye hain
Magar yeh jazbay azzal se hain aur
Abad talak yunhi raheynge
Tum apni aankhoon mein saaray jazboon ka
Pehlay jaisa hi jaal rakhna...

Zara yeh sochoo...
Bichar gaye tu kahaan milenge
Yun hi rahengi tamaam raahain
Magar yeh raahi na mil sakenge
Bahaar mein bhi khizaan ki surat
Na phool har simt khil sakeynge
Na dil ko apne udaas rakhna
Har ek jazbay ka paas rakhna
Milenge aakhir yeh aas rakhna...

Aaj ki raat bhaari hai
Jo kut nahee rahi hai
Dil doob chuka hai jaisay
Koi toofan aa kar sab kuch baha kar legaya ho jaise
Judai-o-gham ghungroo baandh kar
Naram-o-nazuk dil per naach rahay hain jaise
Yeh naach rahe hain
Yeh mere dil ki naazuk zameen ko
Apne kaanch jaise pairoon se kaat rahe hain
Bahut rooya hon itna ke ab rona bhi nahee aataa...

Meri natawaan maa ke dilaasay hain
Aur tumhaari yaad hai
Dekhtay hain jeet kis ki hoti hai
Maa ki shafqat ya meri muhabbat ki tarap
Meri tarap jeet gaee
Mujhe tumhare bina sakoon nahee mila
Har dam tumhari waapsi ka intezaar hai
Suno... Tum is intezaar ko kya samajhtay ho
Issi intezaar ne tu mujhe marne nahee diya
Tumhari waapsi hi meri zindagi hai...

awww sis ur last post is beautiful:k::k:
see ya soon and Take care:hug: