Udaasi ka ek naya dar dekhtay hain
Hum jahaan dekhtay hain jidhar dekhtay hain
Apne aansoo'oun ka hi safar dekhtay hain
Jo koi khwaab tera agar dekhtay hain
Agarchay hai dastarass se bahut maawara tu
Teri jaanib phir bhi hum magar dekhtay hain
Kuch dostoon ke leye jaan fizaan bahut hai
Jo jalta huwa mera ghar dekhtay hain
Supard kar ke lehroon ko apna safeena
Hum teri dua ka assar dekhtay hain
Shayad Amarbail tujh se bhi ek lipti huwi hai
Hum aksar tujhe bhi be-samar dekhtay hain...
![]()
*Supard kar ke lehroon ko apna safeena
Hum teri dua ka assar dekhtay hain
*
Beautiful :k::k:
humm nice try
Re: ~Shayad Amarbail tujhse bhi ek lipti huwi hai~
:k: especially the last one, wah kia baat hey ![]()
Thanks ...