Shareef-tareen larki

Re: Shareef-tareen larki

Ab aisi baat bhi nahi hai Sadiyah, Bohat sarey Larkey bhi tu shareef hotey hian .. ab apney hi muhalley main merey aik jan’ney waley sahab hain, junaid wayeen. panj waqt ke namazi, muhalli ki saari ourtain unki izzat kartee hain balkey kuch ko tu wo bazar bhi le jatey hian, dupatta ranganey, kanari lagwaney waghera … bachey unko mamoon kehtey hain …

Ab bhala batao, itni sharafat ke bawajood unki shadi nahi hoyee, unki umar ki larkeyaan ab auntyaan ban chuki hian :bummer: