Infact i started a thread naming new poems because i was thinking that everybody will be sharing their poems in the thread nobody is posting so i will share myself lol
Aik Chhota Sa Larka Tha Main Jin Dinon
Aik Melay Main Pohncha Humakta Hua
Ji Machalta Tha Aik Aik Shay Par Magar
Jaib Khali Thee Kuch Moal Lay Na Saka
Laut Aya Leay Hasratain Saink-ron
Aik Chhota Sa Larka Tha Main Jin Dinon
Khair Mehroomion Kay Wo Din To Gaye
Aaj Mela Laga Hai Isi Shan Say
Aaj Chahoon To Aik Ek Dukaan Mol Loon
Aaj Chahoon To Sara Jahan Mol Loon
Naar-sai Ka Ab Ji Main Dharka Kahan
Par Wo Chhota Sa, Alhar Sa Larka Kahan !
**
Ibn-e-Insha**
Infact i started a thread naming new poems because i was thinking that everybody will be sharing their poems in the thread :) nobody is posting so i will share myself :) lol
aap bata dete pehle.. iska naam 'share new poems' rakh den? but new poems means poems by New Poets. 'share your favorite poems' kaisa rahe ga?
Jab yaar ne rakht E safar baandha kab zabt ka yaara us din tha
Har dard ne dil ko sehlaayaa!! kya haal hamaara us din tha
Jab khaab hui us ki aaNkhain jab dhund hua us ka chehraa
Har ashk sitaara us shab tha har zakhm angaara us din tha
Sab yaaroN ke hote sote - hum kis se gale mil kar rote
Kub galiyan apni galiyan thein kab shahr hamaara us din tha
Jab tujh se zara ghafil Thehre har yaad ne dil per dastak di
Jab lab pe tumhara nam na tha her dukh ne pukaara us din tha
Ek tum hi ‘Faraz’ na thay tanha! ab ke to bulaawa jab aaya
Ek bheeR lagi thi maqtal mein her dard ka mara us din tha
nukta-cheeN hey, gham-e-dil us ko sunaey na baney
kya bane baat, jahaN baat, banaey na baney
meiN bulata to hooN usko magar aey jazba-e-dil
us pe ban jaaey kuch aesi ke bin aey na baney
Is waqt toh yun lagta hai ab kuch bhi nahin hai
Mahtab, na suraj, na andhera na savera
Aankhon ke dariche main kisi husn ki chilman
Aur dil ki panaahon main kisi dard ka dera
Mumkin hai koi vaham ho mumkin ai suna ho
Galiyon main kisi chaap ka ek aakhiri phera
Shaakhon main khayaalon ke ghane ped ki shayad
Ab aake karega na koi khwaab basera
Ik bair, na k mahar, na ik rabt, na rishta
Tera koi apna, na paraya koi mera
Maana ki ye sunsaan ghadi sakht kadi hai
Lekin mere dil ye toh faqat ek hi ghadi hai
Himmat karo jeene ko to ek umr padi hai
Faiz Ahmad Faiz
in this moment
there is nothing
the moon
nor the sun
the dark of night
nor the glow of dawn
no veiled beauty behind the drapes of the eyes
no muted pain in the folds of the heart
on the boughs of fantasy’s luscious tree
no dreams may now make nest
was it an illusion? or perhaps, too real
that fading sound of familiar footsteps
no hate, no affection
no bond, no relation
no one yours to have
and no one mine to lose
this is a cruel moment, a desolate one
yet, my timid heart
‘tis but a moment
take courage
a lifetime awaits
Sukoon e shorish e pinhaan hay shaghl e jaama dari
Qaraar e seena e sozaan hay naala e sehri
Mizaaj e ishq bohat mu'tadil hay in rozon
jigar main aag dehakti hay aankh main hay tari
Yay darr hay her bun e moo ab lahoo na day niklay
Kuch aisay zor pay hay aaj kaavish e jigari
Jo mujh pay guzri hay shab bhar woh dekh lay hamdam
Chamak raha hay miza per sitaara e sehari
Utha hay dard... rag e jaan hay tishna e nishtar
Mujhe hay aaj talash e kamal e chaara gari
Gharaz nishat o alam say faqat tamasha hay
kay yay manazir e rah aur main hoon rah guzari
Na mud'aa koi mera na kuch haraas mujhe
Kay aashiqi hay faqat bay dili o bay jigari
Teri nigaah kay sadqay yay haal kea hay mera
Kamal e hosh karoon ya kamal e baykhabari
Ghazab hua kay garaybaan hay chaak honay ko
Tumharay ishq ki hoti hay aaj parda dari
Kaheen hay ishq kaheen hay kashish kaheen harkat
Bhara hay khama e fitrat main rang e fitna gari
Mahaal tha koi hota yahan siwa teray
Yay kul jahaan hay mannat pazeer e kam nazari
Woh her ayaan main nihaan hay woh her nihaan main ayaan
Ajeeb tarz e hijaab o ajeeb jawla gari
Kuch is tarha hueen aajiz nawaziaan us ki
Kay meri aah ko hay ab talash e bay asari
Nuzool paykar e khaaki pay Rooh e Azam ka
Zahay kamal e sarafandagi o bay hunari
Karam kuch aaj hay saqi ka woh tarab angaiz
Kay jur'aa jur'aa hay moj e taranum e sehari
Us aastaan say uthaayee na phir jabeen main nay
Haram main sajda e paiham thi aik dard e siri!
Chupi hay neem nigaahi main rooh e baytaabi
Mili hay husn e tabassum ko rayzish e sharari !
Na jaayeay meri bigrri huee adaaon per
Kay aashiqi main meri husn ki hay jalwa gari
Jo shokhion say lea hay jamal e baytaabi
To josh e husn say paayi adaa e jama wari
Leay hain zulf say aashuftagi kay kul andaaz
Nigah e mastt say pohancha hay husn baykhabari
Khamosh...Asgher e bayhooda kosh o herza sara
Kay husn o ishq ki achi nahi hay parda dari
Ba gosh e hosh suno pind e Haafiz e Shiraaz
'Cha nukta eest ba tarz e taranum e shukari'
"Chu her khabar kay shaneedam rahe ba hairat daasht"
"Azeen spish mun o saaqi wa wa'ze bay khabari"
(Hafiz e Sheeraz)
hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab kii tarah
agar jalay bhii tou bus itni roshnii hogi
keh jaisay tund andhairon kii raah main jugnoo
zara sii dair ko chamkay chamak kay kho jaye
phir uss kay baad kisi ko na kuch sujhayee day
na shab katay na suragh-e-sehar dikhayee day
hamara kyaa hai keh hum tou pas-e-ghubaar-e-safar
agar chalay bhi tou bas itnii raah tay hogi
keh jaisay taiz hawaon kii zad main naqsh-e-qadam
zara sii dair k ubhray, ubhar kay mit jaaye
phir uss kay baad na rastaa na rah-guzar milay
had-e-nigah talak dasht-e-bekinaar milay
hamarii simt na dekho keh koii dair main hum
qabeela-e-dil-o-jaan say bicharrnay waalay hain
basay basaaye howay shehar apnii ankhon kay
misal-e-khaanaa-e-veeraan ujarrrnay walay hain
hawa kaa shor yehii hai tou dekhtay rehnaa
hamarii umar kay khaimay ukharrnay walay hain
Suno Larki
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Satra Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
Suno Larki? ....
Meri Mano!
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
Suno Larki ....
Meri Mano~
Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum..