urdu ki sach bari yaad ati hai … jab mauqa milta hai to zarur bolti houn. peechay meinay apnay friends say kuch baat kerni thi, to sab ko aik ijtamai email send ki … FULL urdu mein … … agay say ye jwaab aya:
Heelo,
App ka khat parh k aise laga jaisey main Mirza Galib ki nawasi se hamkalam hoon. Aap ki bataye howi cheezon ma se jo arrange ho sakta hai un ma …bla bla bla … bhe mil jaye ga, Aur jahan tak rahi bla bla ki baat tou main kal confirm kar k aap ki khidmat ma haazir ho jaon ga. Umeed karta hoon k wo bhe ho he jaye ga.
Dua go,
AAp ka apna
yaqeen maano … ham nay “bachelor party” k baray mein bhi urdu mein baat ki … socho kya tarjumma hua hoga
apki dua’oun ka shukriya. mein holland mein apna masters ker rahi houn Media-Design-and-Communication mein … jo k aik art/technology type ka program hai