Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

Cool Season of Khizaan Around You So share your best choice on Khizaan …

**
Khizaan Nay Loot Liya Hum Say Itibar K Hum
Bahaar Main Bhi Nishan-E-Bahaar Dhoondty Hain**

2 Likes

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

<!--StartFragment --> **agan Vangoon Dang Diyan Raatan
Pat Jhar Lag Diyan Ne Barsatan

Hanjuan Haar Parowan Rakhiyan
Loki Hasde Rowan Akhiyan **

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

hmm nice :)

Re: Share Ashaa’r on Kihzaan "Autumn

cool one :k:

Re: Share Ashaa’r on Kihzaan "Autumn

Konsa :faizy: Tum bhi tu koi shair kaho na "pat jhar " Ky bary main:D

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

One of my friends send me this greeting in last Autumn

An Autumn Greeting
"Come," **
**said the Wind to the Leaves one day.

Come over the meadow and we will play.
Put on your dresses of red and gold.
For summer is gone and the days grow cold."

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

Ye khazaaN ki zard se shaam meiN jo uddas pairrh ke paas hey
ye tumharey ghar ki bahaar hey, issey aaNsoo'oN se harra karo

Re: Share Ashaa’r on Kihzaan "Autumn

** Baqi tu buhat ach ahai magar yeh lafz {in red} kia hy:konfused:**

Re: Share Ashaa’r on Kihzaan "Autumn

its PaiRh = shajar = Darakht = Tree

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

Koi To Aye Khizaan Main Pattay Ugaanay Wala
Gulo'n Ki Khushbu Ko Qaid Kerna Koi To Seekhay

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

**GS very good ...mashaAllah Zooq abhi tuk Zinda Hay

AsSweetAs ... yaar main yah ashaa'r likhnay wala he tha kah nazar par gai ...buhat umda

RedIdentity ... buhat khubsurat She'r Koi To Aye Khizaan Main Pattay Ugaanay Wala**

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

aik he tu baat hai jigro... aap post karo ya maiN... kaho tu tumhay dedicate kar daita hooN.. :)

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

Well said ASA ..... :)

Ek Buhat Khubsurat She'r meri student life ka And on present Pakistan's situation .......

Mein kai ruton sey hoon dekhta keh tamaam rang hein bujhey huwey
Ye ab ke khizaan ko kya huwa kiun meri nighaah mein thehar gai

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

kafi time k bad ap ko yahan phir say dekh k acha laga sannan bhaii

Re: Share Ashaa’r on Kihzaan "Autumn

Isra … i didn’t recognize you :confused: .. i think you first time post in my thread … anyway pasandeedagi ka shukaria

Re: Share Ashaa’r on Kihzaan "Autumn

Hmm yahan replies tu kam hi karti hun magar Regular member hun yahan kii or ap ki threads dhund k PArHa karti thee

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

**Oh Thx G :) ..... chalain koi to hay hamara thread read karnay wala ....

anyway kuch Khizaan par aap bhi share karain Akhar kar mairay thread parh kar zooq to kafi buland ho gia ho ga :biggthumb**

Re: Share Ashaa’r on Kihzaan "Autumn

apni tabyat main to har aan khazaan rehtii hai
uski aamad peh hara apna shajar hotaa hai
:devil:

Re: Share Ashaa’r on Kihzaan "Autumn

Shukran:chai:

Shaitani shajar tu hara kerny ky bajay kat hi diya jay tu ach ahai:cb:

Re: Share Ashaa'r on Kihzaan "Autumn

**Buhat Khoub ASA ............. lagta Hay woh puranay zooq walay loog GS say rukhsat HO Chukay Jabhi Khizaan Kay Ooper Asha'r he naheen Aa Rahay Hain .......

Mumkin Hay Tou Jiss Ko Samjhta Hay Baharan
Auron Key Nigah Main Woh Mosam Ho Khizaan Ka!!!