seem
61
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
**
Sheher-e-Mohabat , Hijr Ka Mosam , Ehad-e-Wafa , Aur Mein.
Too Tu Iss Basti Se Khush Khush Chala Gaya , Aur Mein.
Too Jo Na Ho Tu Jesay Sab Ko Chup Lag Jati Hai…
Apas Mea Kia Batain Kartay , Raat , Diya , Aur Mein .
Sair-e-Chaman Aadat Thi Pehlay Ab Majboori Hai…
Teri Talash Mea Chal Partay Hain , Baad-e-Saaba Aur Mein
Aik Zamanay Baad Faraz Yea Shair Kahay Mein Ne..
Aik Muddat Se Milay Nahi Hain , Yaar Mera Aur Mein .
**
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
***Jo humsafar sar-e-manzil bichhar rahaa hai ‘Faraz’
ajab nahin ke agar yaad bhi na ahun usey ***
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
Us Say Muhabbat Ka Taqaza Tou Yeh Hay Faraz !!
Woh Jaan Mangey Aur Dil Dharrakna Chorr Day
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
***Mile koi bhi tera zikr chher dete hain
ke jaise saaraa jahaan raazdar apna hai
Mono
65
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
Aansu hansi hansi may nikal aayay kyun Faraz!
baitthay bitthaayay kon say gham yaad aagayay
Mono
66
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
**Meri Aankhain be ek din mujh se ye keh dein gi Faraz
Khuwab na us k dekha karo hum se ab roya nahi jata. **
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
***Ye kyaa ke tum hi Gam-e-hijr ke fasaane kaho
kabhi to us ke bahaane sunaa karo us se
Mono
68
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
Khairaat main mili khushi mujay achi nahi lagti FARAZ!
Main apnay dukhon main rehta hon navabon ki tarha…
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
kya kya na ham Kharab hue hain magar ye dil
eh yaad-e-yaar tera thikaanaa bahut huaa
Ek nafrat hii nahiin duniya meiin dard ka sabab “Faraz”
Muhabbat bhii sukoon walon ko barii takleef deti haii.
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
***Aj dil khol ke rohe hain to yun khush hai ‘Faraz’
chand lamhon ki ye rahat bhi badi ho jaise
Mono
72
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
Meri Aankhain be ek din mujh se ye keh dein gi Faraz
Khuwab na us k dekha karo hum se ab roya nahi jata.
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
Bohat aala sharing evry1 keep em coming :k:
Mono
74
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
meri qismat ki lakerein mere haathon mein na thein
tere maathe par koi mera muqadar dekhata
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
***Munsif ho agar tum to kab insaaf karo ge
mujrim hen agar ham to saza kyun nahin dete ***
Mono
76
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
kis kis ko batayeinge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye aa …
Mono
77
Re: Share Ashaar Of Ahmed Faraz
kis tarah paya tujhe phir kis tarah khoya tujhe
mujh sa munkir bhii to qaail ho gaya taqadir ka..
kabhi youn bhi tha k hazar teer jigar me the to dukhi na the faraz
magar ab yeh hay kissi meharban k tapaak ne bhi rulla diya
Mai uss ka hoon"yeh raaz to woh jaan gaya hai 'Faraz'
"Woh kis ka hai"yeh sawaal mujhe sonay nahi deta
Kabbi Uss Husn-E-Dill-E-Ara Kii Bhi Tasveer Bana Faraz
Joo Teri Soch Key Khakoon Mein Lahu Bhartta Hay