Sharbat-e-banafshaa

ko angraizi main kya kehtay hain bhai :bummer:
peenay ko dill chah riya hay

angraizi naam pata chal jaiey tu jaa kay walmart say lay looN ga :blush:

Re: Sharbat-e-banafshaa

Elixir of Life**…sold at “Desi Vigour Ltd.” at 312 Weber Street North, Waterloo, Ontario…anmol [besh-bahaa] daamoN meN dastyaab hai :)**

Re: Sharbat-e-banafshaa

kadooo :mad:

hum bilkul fit hain :blush:

woo nahi hay joo aap samajh rahay hain
aisay hi peenay ko dill chah raha hay
sharbat e banafsha :wub:

Re: Sharbat-e-banafshaa

bhaand uncle… desi store main bhi mil jaata hai..

Re: Sharbat-e-banafshaa

Mushkil he millay ga udhar :frowning: hamaray pind mein to kakeem sb. key dukaan say mill jata hay aab udhar koi hakeem dhoondain phir mil sakta hay :frowning:

Re: Sharbat-e-banafshaa

tab gul-e-banafsha ke liye banafsha kaa paudaa lagaa leN…saal do saal meN “phool khileNge” :wink:

Re: Sharbat-e-banafshaa

milta hai yahan bhi… har store main nahi hota..lekin mil jata hai..

Re: Sharbat-e-banafshaa

shukar hay koi tu jana pehchana chehra nazar aya idhar
:hug:

Re: Sharbat-e-banafshaa

hehe itnay mushkil naam wala sharbat zaroor laina hai ap nay. ap koi aur asaan se naam wala sharbat pee lain

Re: Sharbat-e-banafshaa

how about sharbat-e-nazla/zukaam or joshaandah? :D…i LOVE the name ‘joshaandah’ yanii MIX of both farsii N Punjabii ya’nii ise pee kar ‘joash’ [farsii]‘aandah’ [Punjabi]** hehe :)**

Re: Sharbat-e-banafshaa

@ Josh Urdu ka bhi word hota hai so it can be a mixture of both urdu and punjabi. I come across so many names of harbel medicines and thoes name sound funny like Jawarish Kamooni, Majoon

Re: Sharbat-e-banafshaa

**haN na…are baba, urdu meN 60% alfaaz faarsii ke haiN, 35% arabii ke aur 5% digar zabaanoN ke haiN…urdu meN yeh alfaaz muravvij haiN magar urdu kii milkiyat nahiiN :slight_smile:

yeah, so funny names like the ones u mentioned and here are some more:

-tuKhm balanga
-ma’joon
-araq-e-munjamid

etc :rotfl:**

Re: Sharbat-e-banafshaa

**Araq-e-Munjamid

Like

Frozen juice

:)**

Re: Sharbat-e-banafshaa

YUP…you kii to maashaa Allah urdu zabardast hai :slight_smile:

Re: Sharbat-e-banafshaa

URDU IS MY BLANKET :slight_smile:

Re: Sharbat-e-banafshaa

waah, oRhne meN to Urdu hai aur bichhaune meN kia hai? Punjabi? :smiley:

Re: Sharbat-e-banafshaa

Orhne main URDU Bichhaune main UDRU :smiley:

Re: Sharbat-e-banafshaa

acha to GUL QAND ka zikar rehne dejiay (mujy aate hi banai)
SHARBA-E-SANDAL KA NAAM BHI LE DE KOE,mujy pasand hi bohat:yummy: