Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryaani Nhi Jati

**Sharafat soz tasveeron ki uryaani nhi jati
**
**Adab ki aar men targheeb-e-roomaani nhi jati
**
**
Khuda maloom nasal-e-nau ka kya anjaam hona ha
**
**Watan se be’imani ki ferawaani nhi jati
**
**
Azab aye to us men sainkron ki jan jati ha
**
**Nhi jati to shetanon ki shetaani nhi jati
**
**
Kahin basti ki basti boond pani ko tarasti ha
**
**Kahin barish barasti ha to tughyaani nhi jati
**
**
Jahan k zarrey zarrey se numaiyan ha jalal us ka
**
**Magar hum se Khuda ki zaat pehchaani nhi jati
**
**
Zamana is qader qaail hua ha aaj jhoton ka
**
**Jo sach kehtey hen un ki aik b maani nhi jati…!
**

Re: Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryaani Nhi Jati

bahot Khoob zamaana e Haal kii 'akkaasii hai...waqe'atan hii aisaa hai go k ham maaneN yaa na maaneN yaa ise buraa samjheN yaa na samjheN.

Ghazal kii is zameen meN bahot se naamvar sho'araa ne tab'a aazmaaii kii hai, jaise Jigar Muradabadi, AsGhar GonDvii, Shakeb Jalaali aur chand ek gumnaam sho'araa ne bhii koshish kii hai jinkaa kalaam ustaad sho'araa se kam na thaa...jaise, mere vaalid e marHoom aur unke dost Tufail Shamimi ne. iA, kabhii in Hazraat kii is zameen kii GhazleN chaspaaN karuuNgaa. :)

ishtiraakiyat e Ghazal ke liye mamnoon o shukr_guzaar huN. :)

Re: Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryaani Nhi Jati

nice sharing

Re: Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryaani Nhi Jati

**Zamana is qader qaail hua ha aaj jhoton ka
**
**Jo sach kehtey hen un ki aik b maani nhi jati…!

:k:
**

Re: Sharafat Soz Tasveeron Ki Uryaani Nhi Jati

Wah @Last shair esp.