Sharaaaab

Ye thread siraf GHAM bharray logon kay liye hain, or idar siraf SHARAAB say related sherz post karain
Shukriya

Agar nasha sharab me hota to nachti botall, Agar nasha sharab me hota to nachti botall…

Nasha sharab me kaha, botall me kaha, pyale me kaha…

Nasha to unki ankhoon me he…

[This message has been edited by Arnold Shalwaar Nicker (edited January 24, 2002).]

kasam inn mast aankho ki me woh labrez sagir ho
jou masti me chalak jao to me-khano ko le dobo....


Nikhray Gulaab Chehray
Shagufta Shabaab Chehray
Husan walon ki pehli pasand: Jipsy Amazing Cream (improved formula)
mard haazraat aftershave lotion cream ki jagga estimaal kar saktay hain

Aaya tha Hansta Khelta Mykhane mein Sanam,
Jab Pee Chuka Sharab to ranjeeda hogaya...

waday ke liyay banday ko kiya kiya karna parta hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

Ham sharab pite hein maghar
hamein sharabi koi kehta nahi
ham ishq karte hein maghar
hamein aashiq koi kehta nahi...

ohhh mujhay yad aa gaya

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/biggrin.gif

meer in neem baz ankhon main
sari masti sharaab ki si hai

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/blush.gif


As is a tale, so is life: not how long it is, but how good it is, is what matters. – Seneca

allright herz another one
**
saari duniya chahe jhuthi ho,
sharab kabhi jhutha nehin ho sakta
Nashe me sharabi dil ki hi baat kehta hei,
aur jhuth nehin bol sakta **

wah wah wah


Nikhray Gulaab Chehray
Shagufta Shabaab Chehray
Husan walon ki pehli pasand: Jipsy Amazing Cream (improved formula)
mard haazraat aftershave lotion cream ki jagga estimaal kar saktay hain

Lafzoon mein Afsaanay Dhoondtay Hein Hum Log
Lamhoon mein Zamanay Dhoondtay Hein Hum Log
Tu Zehr Hi De ,Sharaab Keh Ker Saaqi
Jeenay Ke Bahanay Dhoondtay hein Hum Log

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

yoon to peeta nahin pee leta hoon gaahay gaahay,
wo bhee thori si maza moonh ka badalnay ke liyay,
meray peenay ki shhikaayat na ho shikwa koee,
apna ghamm hay jisay main pi kay bhula leta hoon.....

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

abb meri shaam hay aur shughal-e-sharaab 'o saaghar,
abb meri raat hay aur gosha-e-mekhana hay,
peetay peetay hi soorat kuch aur karni hay,
aur jeetay jeetay isee andaaz say marr jana hay..

main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon,

sham dhaltay hi teri yaad jab aa jaati hay,
main teray naam pe ek jaam utha leta hoon..
main ek shama jala leta hoon,
ek jaam utha leta hoon............................


ßäñäÄ Kä®® ghö®äÿ KÄ hämm ßhäï$ ghäLïß
Tämää$hÄ-ë-ÄhL-ë-GüP$HÜP ÐäïKhtä¥ häïñ

wah wah wah kya mast kisam ki

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/pagal.gif

shari hai…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/silly.gif

very nice…

**main moun ke bal gira gunahon ke bojh say
logon nay kaha sajday main gaya hai
sajday main gaya to logon nay kaha
zaalim ne pee bhari hai madhosh

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/pagal.gif

para hai…
**

Ay zahid masjid mae tu bhait kar pee lainay dae
ya koie aisey jaga bata jahan khuda na hoo


*** kABhI KAy DiN lAmBaY / KaBHi KeY RaAtiAN *
Oscar Wilde**