Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
ai lo…in ki bhi tha tha ho rahi hai ![]()

Rasm-e-ulfat sikhaa gayaa koee
Dil kee duniyaa pe chhaa gayaa koee
Taa qayaamat kisi tarah na bujheY
Aag aisee lagaa gayaa koee
Dil kee duniyaa ujaaR see kyouN hai
Kiya yahaaN se chalaa gayaa koee?
Waqt-e-ruKhsat galeY lagaa kar “Daagh”
HaNsteY haNsteY rulaa gayaa koee
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
AQ plz yeh thread move na karwa deyna poet forum may ![]()
p.s zabardast ghazal ![]()
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
^^ Wahhhh Wahhhh.......
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
:queen:
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
Hum Aah bhee bhartaY haiN tau ho jaataY haiN “budnaam”
“Woh” qat’l bhee kartaY haiN, tau charchaa naheeN hotaa
![]()
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
charchaa thaa jis ka ussi ko khabr kahan thee
khata jis nay ki, janay ussi ki saza kiya thee
nawazish :D
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
yes, I type them myself. I do not have any servent or such, so to speak.
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
ok, cuz i thought you had servants who did the typing for you ![]()
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
JhuknaY waaloN nay Rif’ataiN paa leeN
Hum khudi ko buland kartaY rahai
PS: Rif’ataiN is not the plural of woman’s name Rifat in this context :halo:
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
are you looking for any such oppertunity?
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
no thanks, i already have servants…kicks EMM head..“go fetch me some water” ……yep, tht was one of em ![]()
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
Laakh doori ho magar Ehd nibhaataY rehna
Jub bhee Baarish ho mera soug manaatay rehna
Tum gaYe ho tau sar-e-shaam ye aadat Thehri
Bus kinaaray pay khaRay haath hilaatay rehna
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
AQ: yahan sharouN ki Dukaan khoul di aap nay :halo:
Re: Shanay pay mere zulf ko phailao kisi din
Hum woh budnaseeb haiN Tariq kay shehr maiN
KholaiN Dukaan Kafan kee, tau loug marnaa choR daiN!