Shamma Jalaaye Rakhna... !!!

Shamma Jalaaye rakhna, jab tak ke mein na aaon
Khud ko bachaaye rakhna, jab tak ke mein na aaon

Zinda diloon se duniya sada aarahahi hai
Mehfil sajaaye rakhna, jab tak ke mein na aaon

Yeh wakt-e-imtehaan hai sabar-o-qaraar dil ka
Aansoo chupaaye rakhna, jab tak ke mein na aaon

Hum tum milenge aise jaise juda nahee thay
Saansain bachaaye rakhna, jab tak ke mein na aaon

Shamma jalaaaye rakhna… Jab tak ke mein na aaon
Khud ko bachaaye rakhna… Jab tak ke mein na aaon

Jab tak ke mein na aaon !!!


Mere jaise ban jaoge jab ishq tumhein ho jaayega…!

Nice One.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/ok.gif


I’m Gonna Be The Champ
The Way I Wanna Be

Rude Boyz Rulez

bahut khoob araay ap fikar na karain shama jalaye rakhiengey jab tak ap nahin atay hain

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/wink.gif

by the way zamana tarakee kargaya hai main generator jala kar rakhoon ap mind tu nahin kariengey! aur agar light ho tu shama nahin tube light sahi rahay gi woh bhi phillips ki

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

takecare!


Aj phir dil nay Ek Tamana ki,
Aj phir dil ko hum nay samjhaya..!

Lamhay, meri jaan !

Thanks for the reply, per ek baat kahonga, ke kabhi mauka milay tu SHAMMA jala kar dekheyayga, koshish kejeyayga ke shamma ke pukar ko us ke dard ko jaan sako, issiliye kaha hai ke shamma jalaaye rakhna, jab tak ke mein na aaon ! aur pata hai na kahaan aane ki baat ho rahi hai ???


Raiza raiza humko hona hoga maati ke tallay
Jaagay hain tu sona hoga maati ke tallay
Sun lo sun sako tou tum ko aansoo pukaaray...!

[quote]

**
Hum tum milenge aise jaise juda nahee thay
Saansain bachaaye rakhna, jab tak ke mein na aaon

Shamma jalaaaye rakhna.... Jab tak ke mein na aaon
Khud ko bachaaye rakhna... Jab tak ke mein na aaon

Jab tak ke mein na aaon !!!

**
[/quote]

sigh

very nice, Arif!