Shama nain jalaya ho jub aashiyana

Beautiful song

Singer: Kumar Sanu

Movie: Uknown

Lyrics:

Shama nain jalaya ho jub aashiyana
hawaoon pe ilzaam phir kion lagana
humdum he bun jai jub tera dushman
logon phir ghairon se kis leye uljhan
esey apnon nain loota hai aksar
dekhta reh gya hai zamana

**
sunao ke kesey badalti hai duniya
ke band ankh se kesey chalti hai duniya
mohabat khushi hai mohabat hee gham
hasi bhi khushi bhi hai es ka tarana**

Shama nain jalaya ho jub aashiyana
hawaoon pe ilzaam phir kion lagana

moqadar nain esa sama bhi dekhaya
ke qasid nain peghaam ulta sunaya
ye naghma bhi kya cher betha hoon main
sunao koe pyaar ka shadiyana

Shama nain jalaya ho jub aashiyana
hawaoon pe ilzaam phir kion lagana

O Maalik ye insaaf kesa hai tera
kisee ko uljala kisee ko andhera
tarasta hai koe hassi ke leye
mila hai kisee ko khushi ka khazana

Shama nain jalaya ho jub aashiyana
hawaoon pe ilzaam phir kion lagana

Download MP3
http://www.4shared.com/file/20032739/a9c8cab1/SAHMA_NE_JALAYA.html