Jab Kiya MaiN Ne Kabhi Khud Ko Nasha Sham Ke Baad
Teri AankhoN Se Liya Kaam Sada Sham Ke Baad
Hum Qafas Main Bhi HaiN Rehnay Ke Liye Ab Tayyar
Raas Aati NahiN Aazad Fiza Sham Ke Baad
Dard Dena Hi Jo Maqsood Ho, Beshak De Do
Par Kisi Ko Na Batana Ke Diya Sham Ke Baad
Mot Ko KyoN Na LagayeiN Ge Galay Ham Dilbar
Aaye Gar Mot Teri God MaiN Aur Sham Ke Baad
YooN To Har Waqt Tere Gham MeiN Maza Hai Laikin
Hai Gham-e-Yaar Ke Sehnay MeiN Maza Sham Ke Baad
Dil MaiN Meray Yahi Jaltay Huye Angaray HaiN
Chund ShairoN MeiN Kiye HaiN Jo BayaN Sham Ke Baad
Poet = (Black Mamba)
Berautiful.... very beautiful...
maza aa giya isi tarha jawab hoona chahiya.... thanks
keep it up
ASA
3
zabardast… :k: kya kehny…
**
jab bhe aatee hai teree yaad kabhe shaam ke baad
aur baR jaate hai afsurdaadile shaam ke baad
ab iraadoN pe bharosaa hai na taubaa pe yaqeeN
mujh ko le jaaye kahaaN tashnaalabe shaam ke baad
yuuN to har lamhaa teree yaad kaa bojhal guzaraa
dil ko mahasuus hue teree kame shaam ke baad
yuu.N to kuchh shaam se pahale bhe udaasee thee ‘Adeeb’
ab to kuchh aur baRee dil ke lage shaam ke baad
**
zabur10 ap ne khud likhee hai?? its so nice :k::k::k:
thanks for sharing :k:
Thanks to AsSweetAs and Dilsay
Thanks Heart Hacker
Yes Heart hacker. Khud Likhi hai
Aur aap ki Ghazal PaRhnay Ke Baad Hi Likhi Hai
ufff oooo… kia batt hay :k:
For Black Mamba, Heart Hacker and AsSweetAs... Meri Koshish :D
**kaisay Keh duN ke tujhay Yaad Kia Sham Ke Baad
koi tou sham naheen aati hay uss sham ke baad
Uss ne baRh kar wo jo thama tha mera haath kabhie
Meri har saans maiN PinHaaN hay wo uss shaam Ke baad
Loag kehtay haiN ke wo Mera naheeN ho sakta
Kaisy karlOoN maiN YaqeeN iska ab usss shaam Ke baad
zabt mera kbhie tota hi naheen tha laikin
qoowat-e-Zabt fana hogai uss sham ke baad
kaisay Keh duN ke tujhay Yaad Kia Sham Ke Baad
koi tou sham naheen aati hay uss sham ke baad**
(Golden Scorpion)
W:eek:W ap tu bohat achay shair hain :k::k:
Keep it up

thnaks for sharin Golden jee
Keep it uo:k::k::k:
Thanks to
BrokenSky
Smilly
HeartHacker
Azad
Baazigar
and specially to Golden Scorpion for such a great poem
Great Ghazal Golden.
Keep it up :k:
Mot Ko KyoN Na LagayeiN Ge Galay Ham Dilbar
Aaye Gar Mot Teri God MaiN Aur Sham Ke Baad
wah…:k:
Thanks Nazish, Galaxy and PKR 
rabiaa
18
Re: Sham Ke Baad. (Specially for Heart Hacker)
khud likhi hai??? wah rey…bohat achi hai :k:..really nice..
Thanx Alot Black Mamba Gi.. Aapki Suhbat Ka Nateeja hay 