Sham-e-firaaq!!!

Sham-e-firaaq, ab na poch, aye or aa k taal gayee
dil tha k phir behal gaya, jaan thi k phir sambhal gayee!

bazm-e-khayal may teray husan ki shama jaal gayee
dard ka chaand bujh gaya, hijar ki raat dhaal gayee!

jab tujhay yaad kar liya, subha mehak mehak uthi
jab tera gham jaga liya, raat machal machal gayee!

dil say tu har maamla kar k chalay thay saaf hum
kehnay may un k samnay, baat badal badal gayee!

Akhir-e-shab k humsafar, faiz najanay kiya howay
reh gayee kis jaga saba, subha kidar nikal gayee!

(Faiz Ahmed Faiz)

Re: Sham-e-firaaq!!!

Beautiful. My all time favorite :k:

Re: Sham-e-firaaq!!!

waah :lajawab:

Re: Sham-e-firaaq!!!

Sham-e-firaaq

:hinna: