Sham Dhalay

Shaam dhaley namnaak sadak par
barf si rangat waali ladki
kisi ka rasta dekh rahi hai

khidki khol k mein kya dekhoon
keh degi wo nain churake
duniya kitna shak karti hai
kaan ka baala dhoond rahi hoon

(Parveen Shakir)

Re: Sham Dhalay

issliye kehte hain kantey pehan kar bahir na dekho :crying:

Re: Sham Dhalay

kantay ya baalay?

Re: Sham Dhalay

dono kaan me hi dalte hain :naraz:

Re: Sham Dhalay

Mujhay title daikh kar aik song yaad aa gia tha "Shaam Jub Dhali yaad Tum Aaye " :hinna: but pata naheen kis nay gaya tha :konfused:

Re: Sham Dhalay

mujhe bhi gana yaad aya "jab shaam dhalay tum chupke say meray angan mein aa jana"

Re: Sham Dhalay

Bade gane yaad aa rahe hain aaj sabko.. Mujhe yeh gana yaad aya:

Ye sham aur tera naam dono kitne milte julte hain
Tera naam nahin loonga, bus tumko shaam kahoonga

Re: Sham Dhalay

mujhay ye wala gana yaad aa gaya..