**UN SAY UMEED-E-RUNUMAAI HAI
~~
****Un say umeed-e-runumaai hai Kya nigaahon ki maut ayi haiDil nay gham say shikast khaai hai
Umer-e-rafta teri duhaai haiDil ki barbaadiyon pay naazaan hun
Fatah paakar shikast khaai haiMeray maa-abad nahi hai dair-o-haram
Ehtiyaatan jabeen jhukaai haiWo hawa day rahay hain daaman ki
Haaye kis waqt neend ayi haiKhul gaya un ki aarzoo main ye raaz
Zeest apni nahi paraai haiDoor ho ghunchay meri nazar say
Tu nay meri hansi churaai haiGul fasurdaa chaman udaas Shakeel
Yun bhi aksar bahaar aayi hai** ****Shakeel Badayuni****